Friday, April 22, 2011

Noor E Khuda

Song: Noor E Khuda
Artist: Adnan Sami, Shankar Mahadevan, Shreya Ghoshal
Album: My Name is Khan

Ajnabe mod hai, khauf har orr hai
Har nazar pe dhua cha gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Aasman zard hai
Aahein bhi sard hai
Tan se saya juda ho gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Saase ruk si gayi, jism chil sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor e khuda, noor e khuda
Tu kahan chupa hai hume ye bataa
Noor e khuda, noor e khuda
Yun na humse nazarein phira
Noor e khuda

Nazarein karam, pharmahi de
Deen o dharam, ko jagaa hi de
Jalti huyi tanhaiyan, roothi huyi parchahiyan
Kaisi uri ye hawa, chhaya ye kaisa samaa
Rooh jum si gayi, waqt tham sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Ujlisi lamho ko aas teri
Zakhmi dilo kyun hai pyaas teri
Har dhadkan ko talaash teri
Tera milta nahin hai pataa
Khali aankhein khud se sawaal karein
Thamne ki cheek behaal kare
Behta lahu fariaad karein
Tera mitta chala hai nishaan
Rooh jum si gayi, waqt tham sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor e khuda, noor e khuda
Kya ye sach hai ke tu hai humse khafa
Noor e khuda …

No comments:

Post a Comment